Zindagi Ka Safar....
Ek lambi si dastaan hai zindagi...
kahaniyan likhte bhi bezubaan hai zindagi..
Zindagi ki kitaab mein...
kuch panne mil jaate hai aansuon mein bheege huye...
kuch lafz bhi milte khushion ko simte aur seeche huye...
kuch pal tanhayee mein beete huye...
kuch yaadein har lamha jeete huye...
Bas aisi hi hai zindagi
Do pal teri do pal meri !
Zindagi ke aaine mein...
Kuch waqt tham se jaate hai tasveer banke...
kuch saath chhod jate hai takdeer banke...
kuch apne ban jate hai , kuch begaane...
kabhi koi dil saare haare, ban gaye deewane...
Kuch paas rehjate hai humrahi banke...
kuch dard bayan kar jaate hain syahi banke...
Bas aisi hi hai zindagi
do saans teri do saans meri !
Zindagi ke jharonke se...
Kuch aks nazar aate hain apne se...
kuch dur chale jaate hai bure sapne se...
Kuch de jaate hai chaand palon main zindagi...
baki bas hum jee jaate hai...
kuch aansu nazane pee lete hai...
kuch rahon pe chalte jaate hai...
kuch bahon mein pighalte jaate hai...
kuch ehsaas zindagi badal deti hai,
aur kabhi zindagi ush ehsaas ko...
Bas aisi hi hai zindagi
Do boond teri do boond meri !

No comments:
Post a Comment