- Khwahishein....
berange kagazon ke kore panno mein
aaj bhi meri syahi dastanein bayan karti hai
bezubaan suhane aur begane lafz bhi
bas kahin meri unsuni kahaniyaan bayan karti hai..
kuch chaand lamhe ish beeti zindagi ke
unhi khali panno mein hum zikr kar lete hain
tazurbon ke chhalavon mein hi sahi
kuch adhuri khwahisen aaj jee bhi lete hain..
pankh diye they kuch bematlab khwahison ko
takdeer aur mukadaaar se jang bhi kar liya
inhi panno mein simat ke rehne dene ke liye
kuch unkahee aadaton ko hamsafar bana liya..
kehte hain ke khwahison ki koi intehaa nahi hoti
dafn hote hote bhi khwahish khatm nahi hoti
kahaniyon ke un sune sune chuvte kishon mein
zindagi ke sisakte bikharte sawaarte hisson mein
bas meri wohi khwahiyen ish dil mein zinda rehti hein
meri zubaani adhoore sapnon ki hardam duhai deti hain !
- Elora

No comments:
Post a Comment