DIL - E - NADAAN !
Dil - e - nadaan,
tu kabhi theher ta nahi... mere aagosh mein !
chanchal titli sa tu udd ta chala jata hai... kahin dur
hawaon ke jhonko mein behta chala jata hai... kahin aur
baarish ki har boond main bhigta chala jata hai... kisi anjaan ke liye
reth ke liwas ko chum ta chala jata hai... kisi ehsaas ke liye
paton ko kano mein kuch gungunata hai... kisiki awaaz ke liye
har pal har lamha....
Jahan khinche masoom nigahen... tu wahin basar jata hai...
jahan bole koi pyar se... tu theher jata hai....
jahan hasse koi khushi se... tu machal jata hai...
jahan roye koi bharke anshu...tu pighal jata hai...
bas yeh duniya mehfus nahi tere liye
dil ke darwaze majboot toh nahi hote
aanewale ek din jayenge bhi
apne yun hin toh nahi gair hote..
nasamajh hai tu, thoda sa badmaas bhi
par duniya nahi tere jaisi jo gham se rahat de
chizen mil jati hai sasti yahan dukaanon mein
dil ki awaaz ke badale kaun apni chahat de ?
sambhal jaa tu abhi
tujhpe mera jor kahan
tujhe thamne ke liye
bana koi dor kahan
bas maan jaa yehi hai ilteeza
dard-e-ishq ab saha nahi jata
jitne din baki hain ab ish zindagi ke panno mein
ansuon ka kissa kaha nahi jata...bina tere saath ke ab raha nahi jata !
- Elora

No comments:
Post a Comment