Khwabon ka aashiyan.....
bunne theey kuch haseen rangeen sapne
banaya tha ek chota sa pyara sa makaan
basta tha wahan mera sara zahan
hakikat ke dabi dabi aahoton ne
daman se tamam khushiyon ko
palak jhapakte hi chheen liya
unjaane unsune rashton ki kagaar pe
akele chalne ko majboor kar diya.....
Khwabon ka woh aashiyan
zahan khelti thi hassi kilkariyan
meri bachpan ki woh besumar yaadein
aur bante tut te kasme vaade
aaj woh ghar ka aangan apna nahi
apna koi wahan basta bhi nahi
bante bighadte rishton ke bhawar mein
zindagi ke utar chadhaw aur safar mein
ladte jhagadte chhod aaye hum
wohi tang galiyaan
zahan beeti thi meri zindagani
jo samajhe meri dhadkane
aur adoori kahaniyaan...
saare bandhan todke
rishte naate chhod ke
waddon se muh mod ke
li thi ek karwat rahon ne
manzil ka haath thaame
chali jaa rahi thi
apni parchhai ke saath
na jaana tha chhut jayega
hamesha ke liye
mere apnon ka saath
sapnon ko jeene ki chah mein
hath jayega sar se haath
pyar aur apnepan ka na mila
koi dusra makaan
aage badhte badhte rahon mein
kahan pichhe chhut gaya
mera khwabon ka aasiyan !!!!
- Elora

No comments:
Post a Comment