Umeedon ka Aasman...
jagmagati roshani se sara zahaan sazaa hai...
rangeen armanoon se har chehra khila hai...
Ish subah ka aasman keshri raang mein mila hai...
safed liwaz main har saaqksh aaj ghar se nikla hai...
dharti ke hari aangan main..
reath ki meethi sugandh mein..
purvi hawaon ke aagman mein..
mehekti fizaon ke chilman main..
ehsaas mere desh ka... har kan mein ghula hai !
yeh alaam bhi kuch alaag sa...
jo tut te taron se achhe waqt ki fariyaad karti hai...
tirange ke leher main guzre waqt ko yaad karti hai...
jo har nanhe chehre pe muskaan ki talaash karti hai...
jo har bhukhe ko niwala aur pyase ko pani dene ki aas rakhti hai...
kuch aisa din hain aaj jo bas yaadein ko saath bit ti hai....
aaj woh adhure waade hin taang galiyon se chinkhti hai !
Kehte hain umeed pe duniya kayam hai
har umeed ki kimat yahan behisab hoti hai
dhoop bhi mile jahan baand jharokhon main
baarish ke pani ko yahan kiski pyaas hoti hai !
sapnon ki kimit mil jate hain choubaron pe
aasiyan mile yahan raston ke kinare mein
muskurat ghum jaye kacche galiyaron main
wahan kismat bhi kahan saath deti hai
aashayen bhi kahan rah deti hai !
aaj bhi umeed ka daman thame, kuch nadaan khade hain..
zindagi ke kasmakash ke aage ghutne tek ke pade hain..
kuch chupchap se apnye sach ko, kuch kismat se laade hain..
aarzoo na hai bas hai ilteeza hai unki
ab jee na paye woh yeh tut ti bikharti zindagi
haath uthake woh bas maange yehi dua
do muthi aasman chahiye, do ghaz zameen ke baad
sayad mil jaye woh aasman ish umeed ke baad !
- Elora
No comments:
Post a Comment